Saturday, 7 July 2018

Bachpan tha kabhi

Un sitaron se milna chahta tha dil
Un galiyon se nikalna chahta tha dil
Jab kuch yun chamke vo sitare
Galiyaan khud-b-khud samne aa gyi

Bachpana jo kahi reh gya tha
Humse shayad thoda rooth gya tha
Bula rha tha vapas un yaado me
Soch kar hi muskurahat aa gyi

Nadaan tha man aur khel me magn tha
Na sach jhuth ka darr tha, bas apne aap me magn tha
Samay chalta rha aage, hum vyast rhe khud ko badalne me
Kuch purane kisson ki barish si aa gyi

Vo khel khilone sabko dikhana
Dosto ke saath bs har dum daud lgana
Kitne sunhere pal the zindagi me
Sochte sochte aankhe me kuch boond aa gyi

Na thi koi chinta, na hi takleef koi
Pta nhi hota tha kab aankh khuli aur kab vapas soyi
Ab to din me ek ek pal ka "Appointment" hai sahab
Bas itna hi kehte kehte main aaj me vapas aa gyi

Keep smiling and believe in yourself 😊

2 comments: