Friday 1 February 2019

Yaadein

Ishq ke mausam ka bukhaar kuch yun chadha
Yaad me unki samay maano tham hi gya
Kuch purane kisse jo ubhar aaye fir se
Ki ye hath apne aap likhne hi lag gya

Abhi toh shuruaat ki thi humne
Jaan pehchaan krne ki unse
Vo bhi masroof hue baaton mein
Kai raaz bayaan kr gye hum unse

Kabhi hum unse roothe bhi
Aur kabhi humne unhe manaya bhi
Izhaar ki baat bhi hui aur
Inkaar karke dil dukhaya bhi

Samay ke sath fir ab
Faasle badhne bhi lage the
Jo rehte the saath humesha
Vo ab kate se rehne lage the

Kismat maan bethe the jinhe apni
Socha nhi ki vo hi khafa ho jayenge
Chal pada dil fir unki taraf
Laga ki shayad yun shikwe door ho jayenge

Ek sham sath bitane ki khwahish thi bas
Par unhe humara sath gawara na tha
Kismat ka khel hai sahab ye toh
Kabhi hath me unke, hath humara tha

Keep smiling and believe in yourself ðŸ˜Š

2 comments: