Saturday 11 April 2020

Random Post in times of COVID19

Kafi depressing sa mahaul hai aas paas. Sabke paas ek hi topic hai baat karne ke liye. Ab toh kisi se baat karne ka bhi mann nhi kar rha hai. Lag rha hai ki bas kahi bhag jao. Par sawal ye hai ki kaha bhagoon main?? Koi thikana bhi nhi hai...

Jisse baat karo sab apna hi rona rote hain. Koi kisi ko samajhna nhi chahta. Bas sab unhe samajhte rhe, par koi unhe na samjhaye. Kyu?? Aise mahaul me har shaks depression me ja sakta hai. Hum sabko ek dusre ko samajhne ki aur sath dene ki zarurat hai. Har koi apne fayde ki baat dhundta hai. Koi dusre ko bhi samjho. Jo Jodta hua chehra tumhari sab baat sunkr samjh rha hai, ho sakta hai uske piche bhi koi dard ho jo vo kisi ko nhi bta pa rha ho. Kabhi usko bhi shant mann se pucho ki tum thik ho na? Tumhe koi takleef ho toh mujhe btao? Koi shikayat toh nhi hai tumhe?

Kya pta tumhare itna puchne par use acha lga aur vo apne mann ki baat tumhe bta de. Usse uska dukh bhi kam hoga aur tumhe bhi uska dukh kam krne ki khushi hogi. Kuch log aapki zindagi me sirf apni baatein btane aate hain, vo sunte kuch bhi nhi. Aur kuch log aapki zindagi me sirf aapki sunne aate hain, vo btate kuch nhi. Dono hi tarah ke log haanikarak hote hain.

Kyunki har insaan bolta toh hai par use ye samjh nhi hoti ki kab kaha kya bolna hai. Jo log sunte (aur samajhte) bhi hain aur sunate bhi hain, vo aapko humesha sahi baat btayenge.

Itna samay mila hai toh samjho ek dusre ko. Sirf hasi mazak aur befizool ki baaton me samay barbaad na kro. Bahut mushkil samay hai ye, par agar hum ek dusre ka sath denge toh ye samay bhi ache se aur jaldi hi nikal jayega.

Jo ghar pe vo pareshan hain, jo ghar se door hain vo bhi pareshan hain. Insaan kisi baat se khush nhi ho sakta hai kabhi bhi, par thoda samay mila hai khud ke liye abhi. Aisa samay jab aapko kisi aur se samay nhi puchna hai, par bas khud ke liye jeena hai, khud ko samjhna hai, khud ko nikharna hai aur khud ko paana hai.

Vese hum daudte rehte hain is zindagi me aur sochte hain ki kabhi khud ke liye sochane ka time hi nhi milta hai. Ab jab samay mila hai toh socho khud ke liye kuch. Apne lakshya nirdharit kro. Apne raaste aur manzil tay karo. Jisse ki samay jab vapas bhaagne lage toh tumhare pas ek nishchit lakshya ho, ek nishchit raasta aur manzil ho, aur fir tum bina thake aur bina ruke use haasil krne ke liye badh sako.

Keep smiling and believe in yourself 😊

No comments:

Post a Comment