Saturday 7 April 2018

Nazron ki naraazgi

Haan, nazrein naraz hain aaj meri un nazron se

Jo nazrein meri hua krti thi, aaj vo kisi aur ki nazron me thi
Un nazron ne kuch vaade kiye the mujhse
Par shayad nazrein hmari hi dhoka kha gyi in vaado ka
Haan, nazrein naraz hain aaj meri un nazron se

Kuch baat to thi unki nazron me, jo hum samjh na paye
Vo kuch is kadar nazron se kehte chale gye
Hmari palkein bhi na jhapki aur vo dekhte chale gye
Par fir bhi nazrein naraz hain aaj meri un nazron se

Jo nazrein hme rokti aayi thi aaj bhi kuch bolne ke liye
Vo shabd toh unhone pehle hi byaan kr diye the dusro se
Humein kya pta tha hmari kadr bas itni hi thi unki nazron me
Hum nazrein jhukaye bethe rhe aur unki nazrein hasti chali gyi
Haan, aaj nazrein naraz hain meri un nazron se

Keep smiling and believe in yourself 😊

5 comments: