Saturday, 9 June 2018

Baatein Unki

Guzar rhe the lamhe
Ankhein thi nam
Fisal rha tha hath se waqt
Aur alfaaz the kam

Jaana hi tha, toh vo mile hi kyu
Kya zaruri tha unka is kadar aana
Zindagi toh chal hi rhi thi pehle bhi
Par kuch zaruri lag rha hai ab ruk jaana

Baatein kri hain humne unke sath bethkar
Sath hase bhi hain aur roye bhi
Par jazbaaton ko na samjh ske vo
Jab unke kandhe par sar rkhkr hum soye bhi

Na hongi vo shamein ab
Na hi hongi vo mulakaatein
Raatein bhi yun hi guzar jayengi
Bas letey hue karwatein

Ae zindagi, thoda tham ja
Thoda toh sambhal aur soch
Vo ja chuke hain bina bataye
Kahin jaldbaazi me dil pe na aa jaye moch

Thoda zaruri hai ab khud ko manana
Vrna kahi dagabaazi na ho jaye khud se
Raaste jo badal chuke hain
Ab hum khud hi na kho jayein khud se

Yaad aaye jo kabhi humari
Kuch yun pukaar lena tum
Vahin khade milenge hum tumhe
Bas tumhari awaz na ho jaye kahi gum

Keep smiling and believe in yourself 😊

2 comments: