Tuesday 5 June 2018

Thehra sa dil

Jab se nazrein unse mili hain
Kuch samajh hi nhi aata hai
Ek ummeed si hai kahi
Vo hi chehra ab bas nazar aata hai

Kabhi to vo bhi hume dekhenge
Aajkal dil yahi bas chahta hai
Par kya kabhi aisa hoga
Yahi sochne me din guzar jata hai

Kabhi kabhi sochte hain kyun hai aisa
Kyu unke na dikhne se dil theher jata hai
Ek jhalak jo mil jaye kabhi
Dil toh yun bhi theher hi jata hai

Raat fir unki baaton me guzar jayegi
Suna hai subah ka sapna sach ho jata hai
Bas yahi waqt hai pure din me
Jab unka dil humara aur humara dil unka ho jata hai

Keep smiling and believe in yourself 😊

2 comments: