Friday 1 June 2018

Ek Daastaan

Aao, sunau tmhe mere dil ki daastaan

Kuch thehra sa tha ye dil
Kuch tha ye nadaan
Baatein maan jata tha sabki
Shuru hui fir ek sapno ki daastaan

Sapno ki duniya me aaya tha
Ek hawa ka jhonka, jo tha sabse anjaan
Na tha jiske baare me kisi ko bhi pata
Aur fir aati hai milne ki daastaan

Milne lage dono dhundkr bahane
Bina soche kya hoga iska anjaam
Acha hi lagta tha dono ko ek dusre ka saath
Sath nibhana yun hi nhi bana daastaan

Darr bhi tha aur himmat bhi thi
Nhi hota hai kuch bhi aasaan
Kasmein vaade bhi kiye
Par shayad nazron me chubhne wali thi ye daastaan

Kuch dhundhla sa ho gya tha sab kuch
Kuch theher bhi gya tha ye jahaan
Farmaan-e-katl jab suna diya duniya ne
Bas aisi hi thi ye ishq ki daastaan

Keep smiling and believe in yourself 😊

8 comments: